After a very long time yesterday I felt that once very familiar restlessness that comes when a poem takes shape in your heart... It's been a very long time and I have no idea why this one decided to be written in Hindi - Urdu. Anyhow, here it is...
Un dino jab mohabbat ki mehfilein hua karti thi, kuch shaayari, kuch mosiqi hua karti thi.
Ab tanha si teri koi adaalat lagti hai. Kabhi tere liye takreer, kabhi teri hi vakaalat karte hai.
Intezaar hai ab, kabhi uzr hua karti thi. Ehsaason ka dera hai jahan, aiyaashi hua karti thi.
Buth parasti bhi raas na aayi, ek aisi dahriyat karte hain. Tu tha to khuda ko bhule thay. Furqat mein ab teri ibaadat karte hain.